बुधवार, 27 जुलाई 2011

Ek Sitara

Sham ek sitara…
dhundlate aasman mein….
kuch dheere kuch sehme….
bin awaz kiye…
is zameen ko dekhta…
kabhi badal se jhakta…
kabhi chand ki roshni ko odhta…
wo chota sitara….
Sochta…
ye dharti…pyari sunahri…
hazaron rango se saji….
zindagi ko roshan karti….
ye paani ye mitti ye hawa…
sab kuch to hai tere paas…
main ek rang ka…..
akela is jahan mein….
anjane saikdon ke beech…
apni hi roshni mein kho sa jata hoon main….
Is roshni mein dekhta hoon tujhe…
to ehsaas hota hai…
main akela khud mein hi jeeta hoon…
par tujhe kya kami hai…
kyu tu apno ke saath hokar bhi meri roshni se zinda hai…